
Assalamu Alaikum!
Jaisa ki hum sab jante hain ki Muharramul- alharam jo ki islamic Naya saal hai. Bhot hi hurmat, fazilat aur barkat wala mahina hai. Islami nuqte nazar se is mahine mein bhot sare aham waqiat ronuma huey hain. Aaj hum un tamam waqiat ka muthtasaran tazkirah karte hain. Aur is mahine (khas kar shuru ke 10 ayyam)ko kis tarah guzarna chahiye us pe bhi roshani dalenge.
Muharramul- alharam mein ronuma hone wale aham waqiat
1. Hijrat-e-Madina :
Muharram ka pehla din Islami saal ka aaghaz hota hai.
Hazrat Muhammad ﷺ ki Hijrat- e Madina bhi isi waqay se mansub hai, jisse Islami calendar shuru hota hai.
2. Shahadat-e-Hazrat Umar (RA) :
Hazrat Umar Farooq (RA) ki shahadat bhi Muharram ke mahine mein hui thi.
Un par Fajr ki namaz ke dauran ek majusi ne hamla kiya.
(Hazrat Umar Faruq (RA) ki shahadat ka waqia tafseelan hum pheer kisi blog mein karenge) In sha allah.
3. Shahadat-e-Imam Hussain (RA) – 10 Muharram (Yawm-e-Ashura)
10 Muharram ko Imam Hussain (RA) aur unke saathiyon ko Karbala mein shaheed kiya gaya.
Aap(RA) ne Islam ki haqiqi rooh ki hifazat ke liye apni jaan qurban ki.
4. Waqia-e-Karbala (Full)
Waqia Karbala 2 Muharram se 10 Muharram tak chala.
Is doran Yazid ke lashkar ne Imam Hussain (RA) aur unke khandan ko pani se mehroom kiya.
Aakhirkar 10 Muharram ko Imam Hussain (RA) shaheed ho gaye.
(waqia karbala ko bhi hum kisi blog mein tafseelan zikr karenge in sha allah).
Yeh din kai aur paighambaron se bhi mansub hai:
Hazrat Moosa (AS) aur Bani Israel ko Firaun se najat isi Deen mili.
Hazrat Nooh (AS) ki kashti (ship) Joodi pahad par isi Deen ruki.
Hazrat Adam (AS) ki tauba qubool hona.
Hazrat Ibrahim (AS) ko aag se najat milna.
Ab hum aashura wale Deen ek musalman ko kya karna chahiye us per roshni dalte hain:
1.Roza Rakhna (9 aur 10 Muharram ya 10 aur 11 Muharram):
Hazrat Muhammad ﷺ ne 10 Muharram ka roza rakhna pasand farmaya.
Aap ﷺ ne farmaya:
“Main agla saal zinda raha to 9 bhi roza rakhunga.”
(Muslim, Tirmizi)
Is din ka roza ek saal ke gunaahon ( sagheera gunahon) ka kaffara ban jata hai.
(Sahih Muslim)
2. Tauba Aur Istighfar Karna :
Aashura ka din ek muqaddas aur fazilat wala din hai.
Is din Allah se tauba, istighfar aur naik amal ki zyada koshish karni chahiye.
3. Sadqa Aur Khairaat Dena :
Is din gareebon ko khana khilana, paani pilana, aur madad karna bahut afzal hai.
Aap ﷺ ne farmaya:
“Jo shakhs Aashura ke din apne ghar walon par wusat kare (khaane-pine mein), Allah us par saal bhar wusat rakhta hai.”
(Baihaqi)
4. Qur’an Ki Tilawat Karna :
Is din zyada se zyada Qur’an ki tilawat, zikr, aur duayein karni chahiye.
5. Waqia-e-Karbala Se Ibrat Lena :
Hazrat Imam Hussain (RA) ki qurbani se sabaq lena:
Zulm ke khilaf khada hona.
Haq ke liye qurbani dena.
Islam ke asal usoolon par chalna.
Ab hum un cheezon ka zikr karte hain jo hamein is mahine mein nahi karni chahiye. Kyun ki yeh cheezen Puri tarah se khurafaat, bid-aat, aur Quran wa sunnat ke khilaf hain.
1. Matam, Seena Koobi aur Khud ko nuqsaan pohchana :
Islam mein apne aap ko takleef dena, khoon nikalna ya chaku maarna haraam hai.
Hazrat Muhammad ﷺ ne farmaya:
“Na koi apne mooh par tamacha maare, na apni gardan ka gareban phade…”
(Bukhari)
Allah ta’ala se dua hai ki Allah ta’ala hum tamam ko na sirf Muharram balki apni tamam zindagi Quran aur sunnat ki mutabiq guzarne ki taufiq naseeb farmaye. Aameen.