Hajj ki Qismein:

Asslamu alaikum dosto! Aap sab ka hamare blog noorulhuda.online mein bhot bhot istaqbal hai. Peechle blog mein hum ne Hajj, us ki qismein, fazilat aur masail ke bare mein discuss kiya tha. Agar aap ne woh blog abhi tak nahi dekha hai to us blog ko padhen ta’ke yeh blog aasani se samajh mein aa jaye, neeche ham us blog ki link de denge.

https://noorulhuda.online/wp-admin/post.php?post=81&action=edit

Aaj hum Hajj aur us ki qismon ke bare mein janne ki koshish karenge.

Hajj ki teen (3) qismein hain, jin ke tafseel is tarah hai.

Hajj-e-Ifrad (حج افراد):

Is mein sirf Hajj kiya jata hai, Umrah nahi. Haji miqat se pehle niyyat karta hai ke wo sirf Hajj ada karega. Yeh zyada tar ahle Makkah ya un ke liye munasib hai jo Umrah alag se kar chuke hain. Is mein Qurbani farz nahi hoti.

Hajj-e-Tamattu (حج تمتع):

Is mein pehle Umrah kiya jata hai. Phir Hajj ke dinon mein Hajj ada kiya jata hai. Haji miqat se Umrah ki niyyat karta hai. Umrah ke baad ahram khol deta hai. Aur phir 8 Zil-Hijjah ko Hajj ke liye dobara ahram bandhta hai. Yeh qism zyada tar door-daraz se aane walon ke liye hoti hai. Is mein Qurbani farz hoti hai.

Hajj-e-Qiran (حج قران):

Is mein Umrah aur Hajj dono ek hi ahram mein ada kiye jate hain.Haji miqat se dono (Umrah aur Hajj) ki niyyat karta hai aur ahram nahi kholta jab tak Hajj pura na ho.Ye qism bhi Qurbani ke saath hoti hai.

Hajj ke Ahkam aur Arkan

Farz:

Ahram, Arafat mein wuqoof, Tawaf-e-Ziyarat, Sa’i (Safa aur Marwah ke darmiyan).

Wajib:

Muzdalifah mein wuqoof, Rami Jamarat, Qurbani (Tamattu aur Qiran mein), etc.

Sunnat:

Talbiyah, Mina mein qiyam, etc. Hajj ka har ek amal apni jagah ahmiyat rakhta hai aur is ke zariye Muslim apni zindagi ko Allah ki raza ke mutabiq dhalne ki koshish karta hai.

Akhir mein Allah ta’ala se dua hai Allah ta’ala ham sab ko Hajj maqbool wa mabroor ki sa’adat apni zindagi mein bar bar ata farmaye. Aameen.

Agar aap ko kisi bhi topic ke bare mein quran aur hadees ki roshni mein janna chahte hain to please hame neeche comment kar ke bataein.

Leave a Comment