Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu!
Aaj hum Surah Al-ikhlas (jo ki Quran Sharif ki choti lekin bhot hi jame aur fazilat wali surat hai) ko samajhne ki koshish karte Hain.
Allah ta-ala hum tamam ko Quran ki sahi samajh ata farmaye aur apne Deen per pure ikhlas ke sath alam karne ki taufiq naseeb farmaye. Aameen.

Arabic Text (Surah Al-ikhlas – سورۃ الاخلاص)
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ ١
اللَّهُ الصَّمَدُ ٢
لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ ٣
وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ ٤
1. Mayne (Meaning):
- Qul huwa Allahu Ahad – Kaho: Woh Allah hai, ek hai.
- Allahu Samad – Allah Be-niyaz hai (har cheez us ki mohtaj hai).
- Lam yalid wa lam yoolad –۔ Na usne kisi ko jana, na usko kisi ne janam diya.
- Wa lam yakun lahu kufuwan ahad – Aur us jaisa koi bhi nahi hai.
2. Tafseer :
Surah Al-ikhlas tauheed (Allah ki wahdaniyat) ka izhar hai.
Ye surah batati hai ke Allah wahid (ek) hai,
Be-niyaz hai, yani sab kuch, har cheez, us ki mohtaj hai, woh kisi ka mohtaj nahi.
Na uska koi beta hai na woh kisi ka beta.
Us jaisa koi nahi – us ki shan mein koi barabar nahi ho sakta.
Ye surah Allah ki zaat aur sifat ka ek mukammal ta’aruf hai. Is chhoti si surah keh kar kam mat samajhna – is ki fazilat bohat azeem hai.
3. Shaan-e-Nuzool :
Tafseer ibn-e-Kaseer ke mutabiq, kuch mushrikeen ne Rasool Allah ﷺ se kaha:
“Humein apne Rubb ka nasab batao!”
To is par Allah Ta’ala ne Surah Ikhlas nazil farmayi, jismein us ne apni zaat aur sifat ka wazeh izhar kiya.
4. Kahan Nazil Hui :
Ye Makki Surah hai, yani Makkah mein nazil hui.
(Makki suratein aam tor par aqeedah aur tauheed par zyada zor deti hain.)
5. Fazilat :
- Qur’an ka Teesra Hissa:
Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
“Qul huwa Allahu Ahad Qur’an ka teesra hissa hai.”
(Sahih Bukhari) - Jannat ki Zamanat:
Jo shakhs is surah ko ikhlas ke sath rozana padhta hai, uske liye jannat hai.
(Sahih Muslim) - Rozana Namazon mein Padhna:
Nabi ﷺ ne is surah ko namazon mein bar bar padhna pasand farmaya. - Mohabbat-e-Khuda:
Ek sahabi is surah ko har waqt padhtay thay, Nabi ﷺ ne farmaya:
“Tumhari muhabbat is surah se tumhein Jannat mein le jaayegi.”
(Sunan Tirmidhi)
Link for Surah Al-falaq 👇
https://noorulhuda.online/wp-admin/post.php?post=121&action=edit
Link for Surah An-nas
https://noorulhuda.online/wp-admin/post.php?post=104&action=edit